Русские видео

Сейчас в тренде

Иностранные видео


Скачать с ютуб Tere Ishq ki Intehaa Chahta Hun - (English Translation) Kalam e Iqbal - Rahat Fateh Ali Khan - Virsa в хорошем качестве

Tere Ishq ki Intehaa Chahta Hun - (English Translation) Kalam e Iqbal - Rahat Fateh Ali Khan - Virsa 3 года назад


Если кнопки скачивания не загрузились НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу страницы.
Спасибо за использование сервиса savevideohd.ru



Tere Ishq ki Intehaa Chahta Hun - (English Translation) Kalam e Iqbal - Rahat Fateh Ali Khan - Virsa

🎼Tere Ishq ki Intehaa Chahta Hun - Kalam e Iqbal - Rahat Fateh Ali Khan (English Translation) - Virsa Cultural Heritage Show #RahatFatehAliKhan #AllamaIqbal #EnglishTranslation 00:00 Prologue Nala Hai Bulbul-e-Shourida Tera Khaam Abhi Apne Seene Mein Isse Aur Zara Thaam Abhi Pukhta Hoti Hai Agar Muslihat Andaish Ho Aqal Ishq Ho Muslihat Andaish To Hai Khaam Abhi Be-Khatar Kood Para Aatish-e-Namrood Mein Ishq Aqal Hai Mehv-e-Tamasha-e-Lab-e-Baam Abhi Ishq Farmouda-e-Qasid Se Subak Gaam-e-Amal Aqal Samajhi Hi Nahin Maani-e-Pegham Abhi Shewa-e-Ishq Hai Azadi-o-Dehr Ashobi Tu Hai Zunnari-e-Butkhana-e-Ayyam Abhi 02:05 Tere Ishq Ki Intiha Chahta Hun Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hun Ishq Teri Intaha, Ishq Meri Intaha Tu Bhi Abhi Na-Tamam, Main Bhi Abhi Na-Tamam Agar Ho Ishq Tou Hai Kuffar Bhi Musalmani Na Ho Tou Mard-e-Musalman Bhi Kafir-o-Zandeeq Banaya Ishq Ne Darya’ay Na-Payda Karan Mujh Ko Ye Meri Khud Nigahdari Mera Sahil Na Ban Jaye Rulati Hai Mujhe Raton Ko Khamoshi Sitaron Ki Nirala Ishq Hai Mera, Nirale Mere Nale Hain Ishq Dam-E-Jibreel, Ishq Dam-E-Mustafa (S.A.W.). Ishq Khuda Ka Rasool, Ishq Khuda Ka Kalaam Aqal-o-Dil-o-Nigah Ka Murshid-e-Awaleen Hai Ishq Ishq Na Ho Tou Sharaa-o-Deen, Bott Khudda'ay Tasawwarat Sidq-e-Khalil(A.S.) Bhi Hai Ishq, Sabr-e-Hussain(R.A.) Bhi Hai Ishq Maarka'ay Wajood Mein Badar-o-Hunain Bhi Hai Ishq Jamal-e-Ishq-o-Masti Ne Nawazi Jalal-e-Ishq-o-Masti Be-Niazi Kamal-e-Ishq-o-Masti Zaraf-e-Haidar (R.A.) Zawal-e-Ishq-o-Masti Harf-e-Razi Kabhi Awara-o-Be-Khanama Ishq Kabhi Shah-e-Shahan Nausherwan Ishq Kabhi Maidan Mein Ata Hai Zaraposh Kabhi Uryan-e-Be-Taeg-o-Sanaa Ishq! Kabhi Tanhai-e-Koh-o-Daman Ishq Kabhi Souz-o-Suroor-o-Anjuman Ishq Kabhi Sarmaya-E-Mehrab-o-Manbar Kabhi Moula Ali (R.A.) Khaybar Shikan Ishq! 07:57 Ye Jannat Mubarik Rahe Zahidon Ko Ke Mein Ap Ka Samna Chahta Hun Umeed-e-Hoor Ne Sub Kuch Sikha Rakha Hai Waaiz Ko Ye Hazrat Dekhne Mein Seedhe Sadhe, Bhole Bhale Hain Kabhi Ae Haqiqat-e-Muntazir! Nazar Aa Libas-e-Majaz Mein Ke Hazar Sajde Tarap Rahe Hain Meri Jabeen-e-Niaz Mein 09:22 Koi Dam Ka Mehman Hun Ae Ahl-e-Mehfil Charagh-e-Sehar Hun, Bujha Chahta Hun Nahin Begangi Achi Rafiq-e-Rah Manzil Se Theher Ja Ae Sharar, Hum Bhi To Akhir Mitne Wale Hain 10:15 Sitam Ho Ke Ho Wada-e-Be-Hijabi Koi Baat Sabr Azma Chahta Hun Ishq Bhi Ho Hijab Mein, Husn Bhi Ho Hijab Mein Ya Tu Khud Ashkar Ho Ya Mujhe Aashkar Kar 11:18 Bhari Bazm Mein Raaz Ki Baat Keh Di Bara Be-Adab Hun, Saza Chahta Hun Agar Kaj Ro Hain Anjum, Asman Tera Hai Ya Mera Mujhe Fikar-e-Jahan Kyun Ho, Jahan Tera Hai Ya Mera? Agar Hangama Ha’ay Shauq Se Hai La-Makan Khali Khata Kis Ki Hai Ya Rab ! La-Makan Tera Hai Ya Mera? Usse Subah-e-Azal Inkaar Ki Juraat Hui Kyun Kar Mujhe Maloom Kya, Woh Raazdan Tera Hai Ya Mera? Muhammad (S.A.W.) Bhi Tera, Jibreel Bhi, Quran Bhi Tera Magar Ye Harf-e-Shireen Tarjuman Tera Hai Ya Mera? Meri Jafa Talbi Ko Duaen Deta Hai Woh Dasht-e-Sada, Woh Tera Jahan-e-Bebunyad Maqam-e-Shauq Tere Qudsiyon Ke Bus Ka Nahin Unhi Ka Kaam Hai Ye Jin Ke Hosle Hain Zayyad Huzoor-e-Haq Mein Israfeel Ne Meri Shikayat Ki Ye Banda Waqt Se Pehle Qayamat Kar Na De Barpa Bagh-e-Bahisht Se Mujhe Hukam-e-Safar Diya Tha Kyun Kaar-e-Jahan Daraz Hai, Ab Mera Intizar Kar Farig To Na Baithe Ga Mehshar Mein Junoon Mera Ya Apna Grebaan Chaak Ya Daman-E-Yazdaan Chaak! Roz-e-Hisab Jab Mera Paish Ho Daftar-e-Amal Aap Bhi Sharamsaar Ho, Mujh Ko Bhi Sharamsaar Kar Hum Ko Jamiat-e-Khatir Ye Preshani Thi Warna Ummat Tere Mehboob (S.A.W.) Ki Diwani Thi Hum Se Pehle Tha Ajab Tere Jahan Ka Manzar Kahin Masjood The Pathar, Kahin Maabood Shajar Khugar-e-Paikar-e-Mahsoos Thi Insaan Ki Nazar Manta Phir Koi Un-Dekhe Khuda Ko Kyunkar Tujh Ko Maalum Hai Leta Tha Koi Naam Tera? Quwwat-e-Baazoo-e-Muslim Ne Kiya Kaam Tera Safah-e-Dahar Se Baatil Ko Mitaya Hum Ne Nau-e-Insaan Ko Ghulami Se Chhuraya Hum Ne Tere Kaabe Ko Jabeenon Se Basaya Hum Ne Tere Quran Ko Seenon Se Lagaya Hum Ne Phir Bhi Hum Se Yeh Gila Hai Ke Wafadar Nahin Hum Wafadar Nahin, Tu Bhi To Dildar Nahin! Ummatain Aur Bhi Hain, In Mein Gunahgar Bhi Hain Ejz Wale Bhi Hain, Mast-e-Mai-e-Pindar Bhi Hain In Mein Kahil Bhi Hain, Ghafil Bhi Hain, Hushyar Bhi Hain Saikron Hain Ke Tere Naam Se Baizar Bhi Hain Rehmatain Hain Teri Aghiyar Ke Kashaanon Par Barq Girti Hai To Bechare Musalmanon Par Boott Sanam Khanon Mein Kehte Hain, Musalman Gye Hai Khushi In Ko Ke Kaabe Ke Nigehban Gye Manzil-e-dehr Se Unthon Ke Hudi Khawan Gye Apni Baghlon Mein Dabaye Huwe Quran Gye Khandah Zan Kufr Hai, Ehsas Tujhe Hai Ke Nahin Apni Touheed Ka Kuch Paas Tujhe Hai Ke Nahin ________________________________________________________ ➡️Follow us: ♠ https://www.mashamholistics.com ♠   / mashamholistics   ♠   / ma_sham_holistics  

Comments